اردو हिंदी
Mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main | Shaahi Shayari
mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main

Ghazal

Mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main

Abdul Hamid Adam

;

mohtat o hoshiyar to be-intiha hun main
amdan tera fareb-e-nazar kha gaya hun main

kya ye subut kam nahin meri wafaon ka
main aap kah raha hun bahut bewafa hun main

aise gira hun teri KHudai ke samne
mahsus ho raha hai KHuda ho gaya hun main

mere sukut ko meri aawaz mat samajh
is pairahan mein tere sitam ki sada hun main

ye intiha hai mere adab ki ki ai 'adam'
us ka wajud ho ke bhi us se juda hun main