mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga
ye pul-siraat agar hai to chal ke dekhunga
sawal ye hai ki raftar kis ki kitni hai
main aaftab se aage nikal ke dekhunga
mazaq achchha rahega ye chand-taron se
main aaj sham se pahle hi Dhal ke dekhunga
wo mere hukm ko fariyaad jaan leta hai
agar ye sach hai to lahja badal ke dekhunga
ujale banTne walon pe kya guzarti hai
kisi charagh ki manind jal ke dekhunga
ajab nahin ki wahi raushni mujh mil jae
main apne ghar se kisi din nikal ke dekhunga
Ghazal
Mohabbaton ke safar par nikal ke dekhunga
Rahat Indori