mohabbat ye bata kya silsila hai
ye manzil hai ki mera rasta hai
ab us ka nam dil se kya miTana
jo hum ne likh diya hai likh diya hai
dar-e-dil par sadaen dene wale
chala bhi aa ki darwaza khula hai
main apne aap mein gum ho gaya hun
teri aawaz ka jadu bhi kya hai
ye kahti hai tere honTon ki jumbish
ki in se aur koi bolta hai
zamin hai ya koi mahtab 'KHawar'
sitara hai ki miTTi ka diya hai

Ghazal
Mohabbat ye bata kya silsila hai
Rahman Khawar