mohabbat sulh bhi paikar bhi hai
ye shaKH-e-gul bhi hai talwar bhi hai
tabiat is taraf KHuddar bhi hai
udhar nazuk mizaj-e-yar bhi hai
ada-e-ishq ada-e-yar bhi hai
bahut sada bahut purkar bhi hai
ye fitne jin se ek duniya hai nalan
inhin se garmi-e-bazar bhi hai
junun ke dam se hai nazm-e-do-alam
junun barham-zan-e-afkar bhi hai
nafas par hai madar-e-zindagani
nafas chalti hui talwar bhi hai
isi insan mein sab kuchh hai pinhan
magar ye marifat dushwar bhi hai
wo bu-e-gul ki hai jaan-e-chaman bhi
qayamat hai chaman-be-zar bhi hai
yahi duniya hai nisbat aansuon ki
yahi duniya tabassum-zar bhi hai
jahan wo hain wahin mera tasawwur
jahan main hun KHayal-e-yar bhi hai
KHabar-dar ai subuk-saran-e-sahil
ye sahil hi kabhi manjdhaar bhi hai
ghanimat hai ki is daur-e-hawas mein
tera milna bahut dushwar bhi hai
jo koi sun sake to nikhat-e-gul
shikast-e-rang ki jhankar bhi hai
un aankhon ki zahe mojaz-bayani
baham inkar bhi iqrar bhi hai
Ghazal
Mohabbat sulh bhi paikar bhi hai
Jigar Moradabadi