mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
KHamoshi bhi hai ye aawaz bhi hai
nasheman ke liye betab tair
wahan pabandi-e-parwaz bhi hai
KHamoshi par bharosa karne wale
KHamoshi dard ki ghammaz bhi hai
hai mearaj-e-KHirad bhi arsh-e-azam
junun ka farsh pa-andaz bhi hai
dil-e-begana KHud duniya mein tera
koi hamdam koi hamraaz bhi hai
kabhi muhtaj lai ka bhi nahin ye
kabhi naghma rahin-e-saz bhi hai
kabhi to dil hai mahw-e-be-niyazi
kabhi tauf-e-harim-e-naz bhi hai
tarana-ha-e-saz-e-zindagi mein
ek aawaz-e-shikast-e-saz bhi hai

Ghazal
Mohabbat soz bhi hai saz bhi hai
Arsh Malsiyani