اردو हिंदी
Mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun | Shaahi Shayari
mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun

Ghazal

Mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun

Shahnawaz Zaidi

;

mohabbat se teri yaaden jaga kar so raha hun
main aadhi raat ko KHushbu laga kar so raha hun

suna hai jab se tu ne raat aankhon mein basar ki
main bistar ki jagah kanTe bichha kar so raha hun

main dariya hun meri gahrai poshida hai mujh mein
giraft-e-KHak se daman chhuDa kar so raha hun

wo ghar mein hai magar kahta hai koi ghar nahin hai
to main bhi aaj virane mein ja kar so raha hun

nahin hai dastaras mein ab zamin ka koi TukDa
so main kaghaz pe apna ghar bana kar so raha hun

wo KHwahish jis ko sine se abhi lipTa raha tha
isi ko apne pahlu se haTa kar so raha hun