اردو हिंदी
Mohabbat mujhse kahti thi zara hoshyar daman se | Shaahi Shayari
mohabbat mujhse kahti thi zara hoshyar daman se

Ghazal

Mohabbat mujhse kahti thi zara hoshyar daman se

Shahid Bhopali

;

mohabbat mujh se kahti thi zara hoshyar daman se
junun aawaz deta tha wo uljhe KHar daman se

mere ashk-e-musalsal raegan hone nahin deta
bahut nazdik rahta hai KHayal-e-yar daman se

sambhal o rahraw-e-rah-e-talab manzil na kho jae
lipaTta hai ghubar-e-rah na-hamwar daman se

jabin-sai kahan ki kis ka sajda kuchh jo qabu ho
chhupa kar baiTh jaun aastan-e-yar daman se

hawa dete rahe danista diwana samajh kar wo
junun hota raha akasr mera bedar daman se

ubharti jati hai daman pe ashk-e-KHun ki rangini
numayan hota jata hai naya gulzar daman se

use tufan kahun ya jaan-e-sahil kya kahun 'shahid'
na ubhre jazb ho kar ashk-e-dariya-bar daman se