mohabbat mein dil-saKHtiyan aur bhi hain
uThane ko sang-e-giran aur bhi hain
dhuan meri aahon ka chhaya hua hai
tah-e-asman aasman aur bhi hain
satana jalana hi aata hai tum ko
siwa is ke kuchh KHubiyan aur bhi hain
mere dil ko le kar na pamal kijiye
ki is jins ke qadr-dan aur bhi hain
abhi to faqat hijr mein dil miTa hai
magar KHana-viraniyan aur bhi hain
tera jin pe lutf-o-karam hai ziyaada
wo sargarm-e-ah-o-fughan aur bhi hain
'rashid' ek jadu raqam hain to kya hai
talamiz-e-'mahmud' KHan aur bhi hain
Ghazal
Mohabbat mein dil-saKHtiyan aur bhi hain
Rasheed Rampuri

