اردو हिंदी
Mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain | Shaahi Shayari
mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain

Ghazal

Mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain

Hafeez Jaunpuri

;

mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain
hum un ko aazmate hain wo hum ko aazmate hain

na ghaTti shan-e-mashuqi jo aa jate ayaadat ko
bure waqton mein achchhe log aksar kaam aate hain

jo hum kahte nahin munh se to ye apni murawwat hai
churana dil ka zahir hai ki wo aankhen churaate hain

saman us bazm ka barson hi guzra hai nigahon se
kab aise-waise jalse apni aankhon mein samate hain

kahan tak imtihan kab tak mohabbat aazmaoge
unhin baaton se dil ahl-e-wafa ke chhuT jate hain

KHumar aankhon mein baqi hai abhi tak bazm-e-dushman ka
tasadduq us DhiTai ke nazar hum se milate hain

dil ek jins-e-giran-maya hai lekin aankh walon mein
ye dekhen husn wale is ki qimat kya lagate hain

kisi ke sar ki aafat ho hamare sar hi aati hai
kisi ka dil koi take magar hum choT khate hain

gae wo din ki name chaak hote the 'hafiz' apne
hasin ab to meri tahrir aankhon se lagate hain