mohabbat kis qadar yas-afrin malum hoti hai
tere honTon ki har jumbish nai malum hoti hai
ye kis ke aastan par mujh ko zauq-e-sajda le aaya
ki aaj apni jabin apni jabin malum hoti hai
mohabbat tere jalwe kitne ranga-rang jalwe hain
kahin mahsus hoti hai kahin malum hoti hai
jawani miT gai lekin KHalish dard-e-mohabbat ki
jahan malum hoti thi wahin malum hoti hai
umid-e-wasl ne dhoke diye hain is qadar 'hasrat'
ki us kafir ki han bhi ab nahin malum hoti hai
Ghazal
Mohabbat kis qadar yas-afrin malum hoti hai
Chiragh Hasan Hasrat