اردو हिंदी
Mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata | Shaahi Shayari
mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata

Ghazal

Mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata

Zafar Ansari Zafar

;

mohabbat ki bulandi se kabhi utra nahin jata
tera dar chhoD ke mujh se kahin jaya nahin jata

main apni dastan-e-gham suna deta tujhe lekin
tera utra hua chehra mujhe dekha nahin jata

buzurgon ki duaen bhi safar mein sath hoti hain
bigaDega koi kya main kahin tanha nahin jata

gharibon ko hiqarat ki nazar se dekhte hain jo
kabhi aise amiron ke yahan jaya nahin jata

ghamon ki dhup mein kuchh is tarah badla mera chehra
ki mere doston se bhi ye pahchana nahin jata

thaka hun rah-e-manzil ka mujhe sona zaruri hai
magar kuchh baat hi aisi hai jo soya nahin jata

yahi sauda-garan-fan se kahna hai 'zafar' mujh ko
ghazal ko chand sikkon ke ewaz becha nahin jata