mohabbat ke siwa harf-o-bayan se kuchh nahin hota
hawa sakin rahe to baadban se kuchh nahin hota
chalun to maslahat ye kah ke panw tham leti hai
wahan jaana bhi kya hasil jahan se kuchh nahin hota
zarurat-mand hai sai-afgani mashshaq hathon ki
faqat yakjai-e-tir-o-kaman se kuchh nahin hota
musalsal barishen bhi sabza-o-gul la nahin saktin
zamin jab be-numu ho aasman se kuchh nahin hota
talafi ke liye darkar hai aaina-sazi bhi
shikast-e-shisha par zikr-e-zaban se kuchh nahin hota
KHala mein tir-andazi se kya 'gulzar' paoge
mayassar is junun-e-raegan se kuchh nahin hota

Ghazal
Mohabbat ke siwa harf-o-bayan se kuchh nahin hota
Gulzar Bukhari