mohabbat karne walon ke bahaar-afroz sinon mein
raha karti hai shadabi KHizan ke bhi mahinon mein
ziya-e-mehr aankhon mein hai tauba mah-jabinon ke
ki fitrat ne bhara hai husn KHud apna hasinon mein
hawa-e-tund hai girdab hai pur-shor dhaara hai
liye jate hain zauq-e-afiyat si shai safinon mein
main hansta hun magar ai dost aksar hanste hue bhi
chhupae hote hain dagh aur nasur apne sinon mein
main un mein hun jo ho kar aastan-e-dost se mahrum
liye phirte hain sajdon ki taDap apni jabinon mein
meri ghazlen paDhen sab ahl-e-dil aur mast ho jaen
mai-e-jazbaat laya hun main lafzi aabginon mein
Ghazal
Mohabbat karne walon ke bahaar-afroz sinon mein
Akhtar Ansari