mohabbat kar ke lakhon ranj jhele bekali pai
wo mujh ko kya mile ek maut goya jite-ji pai
wo bulbul hun ki jis din se luTa hai aashiyan mera
uTha laya main apna dil samajh kar jo kali pai
shikayat us ki kya tujh se ye apni apni qismat hai
ki meri aankh ko aansu mile tu ne hansi pai
jahan mein waqai 'muztar' ka bhi ek dam ghanimat tha
magar afsos thoDe din jiya kam zindagi pai

Ghazal
Mohabbat kar ke lakhon ranj jhele bekali pai
Muztar Khairabadi