اردو हिंदी
Mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona | Shaahi Shayari
mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona

Ghazal

Mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona

Aleem Akhtar

;

mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona
mubarak har nafas ko ek hayat-e-jawedan hona

hamare dil ko aae kis tarah phir shadman hona
teri nazron ne sikha hi nahin jab mehrban hona

tere kuche mein hona us pe tera aastan hona
mubarak tere kuche ki zamin ko aasman hona

ye haalat hai ki bedari bhi hai ek KHwab ka aalam
maaz-allah apna KHugar-e-KHwab-e-giran hona

use KHush kar sakengi kya bahaaren zindagani ki
chaman mein jis ne dekha ho bahaaron ka KHizan hona

jo bad-qismat tere gham ki masarrat se hain na-waqif
wo kya jaanen kise kahte hain dil ka shadman hona

mujhe aankhen dikhaegi bhala kya gardish-e-dauran
meri nazron ne dekha hai tera na-mehrban hona

jabin o aastan ke darmiyan sajde hon kyun hail
jabin ko ho mayassar kash jazb-e-astan hona

hawas-karan-e-ishrat aah kya samjhenge ai 'aKHtar'
bahut dushwar hai zauq-e-alam ka raaz-dan hona