miyan wo jaan katrane lagi hai
tamanna mujh ko samjhane lagi hai
sharafat is qadar ruswa hui hai
amal par apne sharmane lagi hai
jawani ki miyan dahliz par hai
ghazal ab meri itrane lagi hai
KHudara chhoD dije shoKH hasrat
jo bu kafur ki aane lagi hai
sidhaara hai use do-chaar das ne
tumhaari ye ghazal pane lagi hai
tera didar ho hasrat bahut hai
chalo ki nind bhi aane lagi hai
KHaridi ja rahi hai sabziyon si
ghazal bazar mein aane lagi hai

Ghazal
Miyan wo jaan katrane lagi hai
Sajid Premi