miyan sabr-azmai ho chuki bas
milo ab bewafai ho chuki bas
bahaar-e-KHud-numai ho chuki bas
jahan chhuTi hawai ho chuki bas
yahi hai us ki gar begana-wazai
to hum se aashnai ho chuki bas
bharosa kya hamara ashk ki bund
jahan mizhgan par aai ho chuki bas
phanse sayyaad ke phande mein be-tarah
hamari ab rihai ho chuki bas
na mil hajjam-e-ruKHsar us ke har-dam
munDaya KHat safai ho chuki bas
ada mein wan ada niklin hain lakhon
main samjha be-adai ho chuki bas
dila mat dida-e-KHun-bar ko ponchh
har ek ungli hinai ho chuki bas
yahi darban pe hai qadghan to yaro
saba ki wan rasai ho chuki bas
ghazal ai 'mushafi' ye 'mir' ki hai
tumhaari mirzai ho chuki bas

Ghazal
Miyan sabr-azmai ho chuki bas
Mushafi Ghulam Hamdani