اردو हिंदी
Miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai | Shaahi Shayari
miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai

Ghazal

Miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai

Mayank Awasthi

;

miyan majburiyon ka rabt aksar TuT jata hai
wafaen gar na hon buniyaad mein ghar TuT jata hai

shanawar ko koi daldal nahin dariya diya jae
jahan kam-zarf baiThe hon suKHnawar TuT jata hai

ana KHud-dar ki rakhti hai us ka sar bulandi par
kisi poras ke aage har sikandar TuT jata hai

hum apne dosto ke tanz sun kar muskuraate hain
magar us waqt kuchh andar hi andar TuT jata hai

mere dushman ke jo haalat hain un se ye zahir hai
ki ab shishe se Takrane pe patthar TuT jata hai

sanjo rakkhi hain dil mein qimti yaaden magar phir bhi
bas ek nazuk si Thokar se ye locker TuT jata hai

kinare par nahin ai dost main KHud hi kinara hun
mujhe chhune ki koshish mein samundar TuT jata hai