اردو हिंदी
MiTTi tha aur dudh mein gundha gaya mujhe | Shaahi Shayari
miTTi tha aur dudh mein gundha gaya mujhe

Ghazal

MiTTi tha aur dudh mein gundha gaya mujhe

Daniyal Tareer

;

miTTi tha aur dudh mein gundha gaya mujhe
ek chand ke wajud mein gundha gaya mujhe

main nist aur nabud ki ek kaifiyat mein tha
jab wahm-e-hast-o-bud mein gundha gaya mujhe

main chashm-e-kam-rasa se jise dekhta na tha
us KHwab-e-la-hudud mein gundha gaya mujhe

KHas-KHana-e-ziyan ki shararbariyon ke baad
yaKH-zar-e-nar-e-sud mein gundha gaya mujhe

ek dast-e-ghaib ne mujhe la chaak par dhara
phir waqt ke jumud mein gundha gaya mujhe

is mein to aasman ke shajar bhi samar na den
jis KHak-e-be-numud mein gundha gaya mujhe

qaus-e-quzah ki samt bahut dekhta tha main
aaKHir ghubar-o-dud mein gundha gaya mujhe