miTTi ki imarat saya de kar miTTi mein hamwar hui
virani se ab kaam hai aur virani kis ki yar hui
har patti bojhal ho ke giri sab shaKHen jhuk kar TuT gain
us barish hi se fasl ujDi jis barish se tayyar hui
Dar Dar ke qadam yun rakhta hun KHwabon ke sahra mein jaise
ye reg abhi zanjir bani ye chhanw abhi diwar hui
chhuti hai zara jab tan ko hawa chubhte hain ragon mein kanTe se
sau bar KHizan aai hogi mahsus magar is bar hui
ab ye bhi nahin hai bas mein ki hum phulon ki Dagar par lauT chalen
jis rahguzar par chalna hai wo rahguzar talwar hui
ek ghuncha sahar ke arse mein aisa bhi tha jo kah guzra
is arz-e-KHush-guftaran par taKHliq-e-jars be-kar hui
hum sath chale the suraj ke so is ka ye KHamyaza hai
suraj to nikal kar dur gaya ab apni sham ghubar hui
wo nale hain be-tabi ke chiKH uThta hai sannaTa bhi
ye dard ki shab malum nahin kab tak ke liye bedar hui
ab tez hawa kitni hi chale ab garm faza kitni hi rahe
sine ka zaKHm charagh bana daman ki aag bahaar hui
Ghazal
MiTTi ki imarat saya de kar miTTi mein hamwar hui
Mahshar Badayuni