اردو हिंदी
Misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre | Shaahi Shayari
misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre

Ghazal

Misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre

Aftab Iqbal Shamim

;

misal-e-sail-e-bala na Thahre hawa na Thahre
lagae jaen hazar pahre hawa na Thahre

kahin kahin dhup chhup-chhupa kar utar hi aai
dabiz baadal hue ikahre hawa na Thahre

waraq jab ulTe kitab-e-mausam dikhae kya kya
gulab aariz badan sunahre hawa na Thahre

wo sans umDi ki be-hison ne ghazab mein aa kar
gira diye habs ke kaTahre hawa na Thahre

kabhi badan ke ruen ruen mein hawas ubhrin
kabhi kare gosh hosh bahre hawa na Thahre

usi ki raftar-e-pa se ubhren nuqush-e-rangin
kahin pe halke kahin pe gahre hawa na Thahre

sada-e-har-su falak ke gumbad mein gunjti hai
hawa na Thahre hawa na Thahre hawa na Thahre