اردو हिंदी
Misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha | Shaahi Shayari
misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha

Ghazal

Misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha

Yasmeen Hameed

;

misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha
wo KHadd-o-KHal bhi apne magar badalta raha

main pattharon pe giri aur KHud sambhal bhi gai
wo KHamushi se mere sath sath chalta raha

ujala hote hi kaise use bujhaungi
agar charagh mera ta-ba-subh jalta raha

main us ke mani o maqsad ke sang chunti rahi
wo ek harf jo ehsas ko kuchalta raha

zamin KHulus ki miTTi se be-niyaz rahi
rifaqaton ka shajar wahimon pe palta raha