meri zindagi kisi moD par kabhi aansuon se wafa na de
teri aankh ki ye ghaTa kahin yun baras ke mujh ko rula na de
wahi chhanw nim ke peD ki wahi sham de ye faza na de
gae mausamon ka asir hun nae mausamon ki saza na de
mere naKHuda tera shukriya koi aur mujh pe karam na kar
teri maslahat ki hawa kahin mera baadban uDa na de
mere KHat ko le ke KHushi se wo kai bar chumegi tu magar
mujhe Dar hai bhiga wo lafz ek mere gham ka qissa suna na de
wahi jis ke pyar ki aag ne mere KHadd-o-KHal jhulas diye
mujhe Dar hai ab mujhe dekh ke wo nazar se apni gira na de
teri shoKH aankhon mein barha kai KHwab dekhe hain pyar ke
tera pyar mera nasib hai kisi aur ko ye wafa na de
Ghazal
Meri zindagi kisi moD par kabhi aansuon se wafa na de
Ateeq Anzar