meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke
wo shagufta rang uruj ke ye shikasta rang zawal ke
tere husn se mere ishq tak ye jo nisbaton ke hain silsile
ye shajar hain ek hi bagh ke ye samar hain ek hi Dal ke
main sunaun kya koi dastan ki subut-e-gham bhi nahin raha
mere ishq name ko le gaya koi taq-e-jaan se nikal ke
mere bagh mein wo gulab tha ki mahak raha tha chaman chaman
wo jo gum hua to bikhar gae sabhi rang huzn-o-malal ke
koi KHwab hai na KHayal hai koi aarzu hai na justuju
ye kahan hai la ke biTha diya mujhe qaid-e-jaan se nikal ke
main bhaTak raha tha jihat jihat tere naqsh-e-pa ki talash mein
mere sath sath chala kiye kai aks KHwab-o-KHayal ke
mujhe shahrah-e-hayat par kai aise ghar bhi mile 'ziya'
jahan qumqume na jale kabhi na wo hijr ke na visal ke

Ghazal
Meri zindagi ki kitab mein yahi naqsh hain mah-o-sal ke
Zia Faruqi