meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai
mujhe ek muTThi zamin de ye zamin kitni simaT gai
teri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghazal kahun
ye ajib aag ki bel thi mere tan-badan se lipaT gai
mujhe likhne wala likhe bhi kya mujhe paDhne wala paDhe bhi kya
jahan mera nam likha gaya wahin raushnai ulaT gai
na koi KHushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai
tere sukh ke din bhi guzar gae meri gham ki raat bhi kaT gai
meri band palkon par TuT kar koi phul raat bikhar gaya
mujhe siskiyon ne jaga diya meri kachchi nind uchaT gai
Ghazal
Meri zindagi bhi meri nahin ye hazar KHanon mein baT gai
Bashir Badr