meri thakan mere qasd-e-safar se zahir hai
udas sham ka manzar sahar se zahir hai
na koi shaKH-e-ibarat na koi lafz ka phul
ye ahd banjh hai qaht-e-hunar se zahir hai
jo puchha kya huin shaKHen samar-ba-dast jo thin
kaha ki dekh lo sab kuchh shajar se zahir hai
faqat ye wahshat-e-izhaar hai ilaj nahin
ye bojh yun nahin utrega sar se zahir hai
main apni rakh mein KHwahish dabae baiTha hun
ye aag jal ke rahegi sharar se zahir hai
wo umr-bhar ki asiri mili tamanna ko
gharib mar ke hi niklegi ghar se zahir hai
tu reza reza talluq se ghar bana 'shahid'
magar ye dasht to diwar-o-dar se zahir hai

Ghazal
Meri thakan mere qasd-e-safar se zahir hai
Saleem Shahid