meri tarah se kahin KHak chhanta hoga
wo apni zat ke sahra mein kho gaya hoga
sharar rakh mein baqi raha nahin koi
charagh dil ka mere jal ke bujh gaya hoga
jo meri jhil si aankhon mein Dub Dub gaya
sitara-war kahin KHud ko DhunDhta hoga
phir aaj qarya-e-jaan par azab utre hain
kisi ne phir naya tarkash saja liya hoga
chhalakte jate hain manzar tamam aankhon se
daricha yaad ka shayad koi khula hoga
samaaton pe meri aaj kaisi dastak hai
koi hawa se pata mera puchhta hoga
wo shaKHs mera shanasa nahin to kaun hai wo
kisi ko DhunDhta rasta bhaTak gaya hoga
nafas nafas mein koi aashkar hota hai
jo mere dil ke qarin hai mera KHuda hoga
teri talash mein wo muntashir hua aisa
suragh apna bhi us ko na mil saka hoga
badalti rut mein wo kaisa badal gaya 'shahnaz'
bichhaD ke mujh se kabhi wo bhi sochta hoga
Ghazal
Meri tarah se kahin KHak chhanta hoga
Shahnaz Muzammil