اردو हिंदी
Meri tarah koi na-kaamyab ho na saka | Shaahi Shayari
meri tarah koi na-kaamyab ho na saka

Ghazal

Meri tarah koi na-kaamyab ho na saka

Bismil Saeedi

;

meri tarah koi na-kaamyab ho na saka
kisi nigah mein bhi intiKHab ho na saka

KHayal-o-KHwab mein bhi kaamyab ho na saka
mera KHayal kabhi un ka KHwab ho na saka

chaman hazar ba-ranai-e-bahaar raha
tumhaara husn tumhaara shabab ho na saka

meri nigah ke andaz-e-shauq jab dekhe
hijab kar na sake wo hijab ho na saka

jahan-e-ishq mein wo ham-mizaj-e-fitrat hun
mere KHilaf koi inqalab ho na saka

kahan wo ahd-e-shabab aur talatum-e-jazbaat
sukun-pazir kabhi iztirab ho na saka

nigah-e-shauq se jab tak na chheD-chhaD hui
tera shabab mukammal shabab ho na saka

nigah-e-shoKH ki bebakiyan koi dekhe
ki jaise koi kabhi kaamyab ho na saka

harim-e-naz ki allah re rifaten 'bismil'
KHayal mein bhi koi baryab ho na saka