meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi
KHirad walon ki mahfil mein junun badnam hai saqi
junun mein aur KHirad mein dar-haqiqat farq itna hai
wo zer-e-dar hai saqi aur ye zer-e-dam hai saqi
su-e-manzil baDhe jata hun mai-KHana ba mai-KHana
mazaq-e-justuju tishna-labi ka nam hai saqi
kabhi jo chaar qatre bhi saliqe se na pi pae
wo rind-e-KHam hai saqi wo nang-e-jam hai saqi
nahin hai aaj bhi shaista-e-adab-e-mai-noshi
wo ek rind-e-bala-kash jis ka 'taban' nam hai saqi
Ghazal
Meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi
Taban Ghulam Rabbani