meri nazar mera apna mushahida hai kahan
jo mustaar nahin hai wo zawiya hai kahan
agar nahin tere jaisa to farq kaisa hai
agar main aks hun tera to aaina hai kahan
hui hai jis mein wazahat hamare hone ki
teri kitab mein aaKHir wo hashiya hai kahan
ye ham-safar to sabhi ajnabi se lagte hain
main jis ke sath chala tha wo qafila hai kahan
madar mein hun agar main to hai kashish kis ki
agar main KHud hi kashish hun to daera hai kahan
teri zamin pe karta raha hun mazduri
hai sukhne ko pasina muawza hai kahan
hua bahisht se be-daKHl jis ke bais main
meri zaban par us phal ka zaiqa hai kahan
azal se hai mujhe darpesh daeron ka safar
jo mustaqim hai ya rab wo rasta hai kahan
agarche is se guzar to raha hun main 'asim'
ye tajraba bhi mera apna tajraba hai kahan
Ghazal
Meri nazar mera apna mushahida hai kahan
Asim Wasti