meri nazar ko dar-o-baam par lagaya hua hai
chalo kisi ne mujhe kaam par lagaya hua hai
wo aur honge jo sahra mein pa-ba-jaulan hain
mujhe to shahr ne ahkaam par lagaya hua hai
agar wo aaya to is bar subh manunga
bahut dinon se mujhe sham par lagaya hua hai
kabhi to lagta hai ye uzr-e-lang hai warna
mujhe to kufr ne islam par lagaya hua hai
wo aur log hain jo us ke pas baiThe hain
hamein to us ne kisi kaam par lagaya hua hai

Ghazal
Meri nazar ko dar-o-baam par lagaya hua hai
Nadeem ahmad