meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai
har ek KHwab ka hasil parind ojhal hai
shajar jo kah na sake aasman wahi sun le
yaqin hai wahm ki manzil parind ojhal hai
shafaq shafaq wahi surKHi uDan ki tabir
ufuq ufuq wahi mahfil parind ojhal hai
sada mein samt nahin bazgasht la-mahdud
safar ki shart mein shamil parind ojhal hai
bhanwar ka kaam jazire ko warghalana tha
dhuan dhuan lab-e-sahil parind ojhal hai

Ghazal
Meri nazar ki tarah dil parind ojhal hai
Shahid Jameel