اردو हिंदी
Meri nawa se hue zinda aarif o aami | Shaahi Shayari
meri nawa se hue zinda aarif o aami

Ghazal

Meri nawa se hue zinda aarif o aami

Allama Iqbal

;

meri nawa se hue zinda aarif o aami
diya hai main ne unhen zauq-e-atish aashami

haram ke pas koi aajmi hai zamzama-sanj
ki tar tar hue jama hae ehrami

haqiqat-e-abadi hai maqam-e-shabbiri
badalte rahte hain andaz-e-kufi o shami

mujhe ye Dar hai muqamir hain puKHta-kar bahut
na rang lae kahin tere hath ki KHami

ajab nahin ki musalman ko phir ata kar den
shikwa-e-sanjar o faqr-e-juned o bastami

qaba-e-ilm o hunar lutf-e-KHas hai warna
teri nigah mein thi meri na-KHush andami