اردو हिंदी
Meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada | Shaahi Shayari
meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada

Ghazal

Meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada

Javed Shaheen

;

meri kar-gahh-e-dil mein abhi kaam hai zyaada
koi chiz ek jagah se zara KHam hai zyaada

kisi manzar-e-shafaq ko kahan aankh mein jagah dun
mere KHun-e-dil se rangin meri sham hai zyaada

ghaDi-bhar Thaharne wale zara ye KHayal rakhna
ye jo saya-e-shajar hai koi dam hai zyaada

mera mashwara yahi hai isi raste se jaana
baDa saf hai agarche kai gam hai zyaada

paDe hain bahut se mere abhi kaam na-mukammal
koi bojh jate din par sar-e-sham hai zyaada

koi jurm dusre ka mera ban gaya hai kaise
teri fard-e-jurm mein kyun mera nam hai zyaada

kabhi kucha-e-talab mein kabhi rah-e-zar-gari par
tera kar-e-husn ab kuchh sar-e-am hai zyaada

teri aankh mein jo 'shahin' labaalab bhara hua hai
kisi ek taraf se KHali wahin jam hai zyaada