اردو हिंदी
Meri jaan ranj ghaTaiye qadam aage ab na baDhaiye | Shaahi Shayari
meri jaan ranj ghaTaiye qadam aage ab na baDhaiye

Ghazal

Meri jaan ranj ghaTaiye qadam aage ab na baDhaiye

Naseem Dehlvi

;

meri jaan ranj ghaTaiye qadam aage ab na baDhaiye
idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye idhar aaiye

khaDe kab se hum sar-e-rah hain kahin mar chuken ki tabah hain
hadaf-e-KHadang-e-nigah hain zara aankh idhar bhi milaiye

bhala aana aap ka kaam hai ye ghalat tamam kalam hai
aji bas hamara salam hai kahin aur baaten banaiye

tah-e-tegh tez hai ek jahan koi kushta hai koi nim-jaan
jo na ho daregh tu mehrban koi hath idhar bhi lagaiye

kabhi mai se munh ko na moDiye hawas-e-sharab na chhoDiye
sar-e-mohtasib hai na toDiye jo kamal-e-ghaiz par aaiye

ye kamal-e-lutf hai saqiya yahi hai hawas yahi muddaa
rahe hosh-e-sar na KHayal-e-pa agar aisi mai hai to laiye

jo wufur-e-chashm-e-pur-ab ho to jahan taKHta-e-ab ho
abhi nuh ka sa azab ho agar ashk chand bahaiye

wo kaha adu se hai main ne kya ki hue hain aap jo yun KHafa
ye ghazab ye jhuT ye iftira mere samne to bulaiye

ghazal aisi kaamil-e-wazn sun mutafailun mutafailun
hai 'nasim' taqat-e-hosh sun koi sher aur sunaiye