meri ghazal mein thin us ki nazakaten sari
usi ke ru-e-hasin ki sabahaten sari
wo bolta tha to har ek tha gosh-bar-awaz
wo chup hua to hain bahri samaaten sari
wo kya gaya ki har ek shaKHs rah gaya tanha
usi ke dam se thin baham rifaqaten sari
Dubo gaya wo mera lafz lafz dariya mein
wo gharq kar gaya meri alamaten sari
wo ek lamha sar-e-dar jo chamak uTTha
us ek lamhe pe qurban saaten sari
jahan pe dafn hai us ke badan ka taj-mahal
udhar dariche rakhengi imaraten sari
Ghazal
Meri ghazal mein thin uski nazakaten sari
Manzoor Arif