اردو हिंदी
Meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai | Shaahi Shayari
meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai

Ghazal

Meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai

Afzal Allahabadi

;

meri diwangi ki had na puchho tum kahan tak hai
zamin par hun magar meri rasai la-makan tak hai

tera jalwa to aise aam hai sare zamane mein
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai

kisi ko kya KHabar ehsas hai lekin mere dil ko
ki us ke pyar ki barsat mere dasht-e-jaan tak hai

zara barq-e-sitam se puchh leta kash koi ye
tere qahr-o-ghazab ka silsila aaKHir kahan tak hai

hamin chubhte hain kyun kanTon ki surat aankh mein teri
fasadi ka nishana kyun hamare hi makan tak hai

tawajjoh KHak ke zarron ki jaanib kyun karen 'afzal'
nazar apni mah-o-parwin tak hai kahkashan tak hai