meri bayaz ko sheron se tum saja dena
main ek wahm hun mujh ko yaqin bana dena
bana ke koi kahani hamari hasti ki
nadi mein kaghzi kashti koi baha dena
bahut sambhaal ke rakkha hai main ne phulon ko
jo ho sake inhen gul-dan mein saja dena
chala gaya jo kabhi lauT kar nahin aaya
main lauT aaungi mujh ko zara sada dena
andhera DhunDhta rahta hai meri parchhain
jale charagh to chadar mujhe oDha dena
kitaben so nahin paengi mere baad kabhi
hua tu aa ke inhen loriyan suna dena
bikhar ke rah gai zarraat-e-gham mein 'shaista'
tere qalam se nai shakl ek bana dena

Ghazal
Meri bayaz ko sheron se tum saja dena
Shaista Yusuf