meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata
bichhaD kar bhi bichhaD jaane ka ye Dar kyun nahin jata
agar ye zaKHm bharna hai to phir bhar kyun nahin jata
agar ye jaan-lewa hai to main mar kyun nahin jata
agar tu dost hai to phir ye KHanjar kyun hai hathon mein
agar dushman hai to aaKHir mera sar kyun nahin jata
bataun kis hawale se unhen bairag ka matlab
jo tare puchhte hain raat ko ghar kyun nahin jata
zara fursat mile qismat ki chausar se to sochunga
ki KHwahish aur hasil ka ye antar kyun nahin jata
mere sare raqibon ne zaminen chhoD din kab ki
magar ashaar se mere wo tewar kyun nahin jata
mujhe bechain karte hain ye dil ke an-ginat dhabbe
jo jata hai wo yaadon ko miTa kar kyun nahin jata

Ghazal
Meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata
Prabudha Saurabh