mere wajud ko pamal karna chahta hai
jo hadsa hai mujhi par guzarna chahta hai
wo jumbish apne labon ko na de ye baat alag
ada ada se magar baat karna chahta hai
kaman se chahe na nikle kisi ka tir-e-nazar
magar ye lagta hai dil mein utarna chahta hai
guman ye hota hai taswir dekh kar teri
ki aks se tera paikar ubharna chahta hai
KHusha ye zaKHm zahe lazzat-e-namak-pashi
kured leta hun jab zaKHm bharna chahta hai
gharib ko hawas-e-zindagi nahin hoti
bas itna hai ki wo izzat se marna chahta hai
main zindagi ko liye phir raha hun kab se 'waqar'
ye bojh ab mere sar se utarna chahta hai

Ghazal
Mere wajud ko pamal karna chahta hai
Waqar Manvi