mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka
main jaanta hi nahin hun main ham-safar kis ka
na mujh pe tanz karo dosto ki be-ghar hun
tumhin kaho ki hai tum mein se apna ghar kis ka
is ek sawal ka suraj bhi de saka na jawab
main sirf saya nahin rup hun magar kis ka
jo mere pas tha sab luT le gaya koi
kiwaD band rakhun ab mujhe hai Dar kis ka
har ek shaKHs raha mahw-e-shaghl-e-sang-zani
kise paDi thi ki dekhe uDa hai sar kis ka
ye aur baat saza us ko mil gai warna
chala hai zor dil-e-na-subur par kis ka
tumhaari baat alag hai wagarna ai 'manzur'
bacha hai ab bhi sawad-e-dil-o-nazar kis ka
Ghazal
Mere wajud ki duniya mein hai asar kis ka
Hakeem Manzoor