mere supurd kahan wo KHazana karta tha
suluk karta tha aur ghaebana karta tha
ajib us ki talab thi ajab tha asp-e-sawar
ki mulk-o-mal ki parwa zara na karta tha
shiar-e-zist hunar tha so hum na jaan sake
jo kaam hum nai kiya dusra na karta tha
safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak
hamare haq mein koi faisla na karta tha
faza mein hath to uTThe the ek sath kai
kisi ke waste koi dua na karta tha
tamam surat-e-tartib is ko aati hai
agarche KHair ko shar se juda na karta tha
wo qalb-gah-e-tamanna mein ek charagh ki lau
ko tez rakhta tha nazr-e-hawa na karta tha
uTha rakha tha usi par se e'tibar tamam
aur intizar bhi us ka zamana karta tha
unhin gharon se ibarat hai apni sham-e-jahan
charagh-e-taq bhi aksar jala na karta tha
Ghazal
Mere supurd kahan wo KHazana karta tha
Atiiqullah