اردو हिंदी
Mere subut bahe ja rahe hain pani mein | Shaahi Shayari
mere subut bahe ja rahe hain pani mein

Ghazal

Mere subut bahe ja rahe hain pani mein

Farhat Ehsas

;

mere subut bahe ja rahe hain pani mein
kise gawah banaun sara-e-fani mein

jo aansuon mein nahate rahe so pak rahe
namaz warna kise mil saki jawani mein

bhaDak uThe hain phir aaankhon mein aansuon ke charagh
phir aaj aag laga di gai hai pani mein

hamin the aaise kahan ke ki apne ghar jate
baDe-baDon ne guzari hai be-makani mein

ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein

visal o hijr ki ek ek charagh the donon
siyah ho ke rahe shab ke be-karani mein

bas ek lams ki jal jaen sab KHas-o-KHashak
ise visal bhi kahte hain KHush-bayani mein

kahani KHatm hui tab mujhe KHayal aaya
tere siwa bhi to kirdar the kahani mein

na chahiye mujhe wo aasman jo mera na ho
main KHush hun apni hi miTTi ki aasmani mein