mere simTe lahu ka istiara le gaya koi
mujhe phaila gaya har-su kinara le gaya koi
bas ab to mangta phirta hun apne aap ko sab se
meri sanson mein jo kuchh tha wo sara le gaya koi
badan mein jo KHalaon ka nagar tha wo bhi KHali hai
meri tahzib ka tanha manara le gaya koi
jahan se bhag nikla tha wahin patthar hua aaKHir
mujhe sanson ki sarhad tak dobara le gaya koi
azal se ab talak mujh ko ishaare kar raha tha jo
shab-e-na-ashna se wo sitara le gaya koi
Ghazal
Mere simTe lahu ka istiara le gaya koi
Riyaz Latif

