اردو हिंदी
Mere shauq-e-justuju ka kise etibar hota | Shaahi Shayari
mere shauq-e-justuju ka kise etibar hota

Ghazal

Mere shauq-e-justuju ka kise etibar hota

Adeeb Saharanpuri

;

mere shauq-e-justuju ka kise e'tibar hota
sar-e-rah manzilon tak na agar ghubar hota

main tujhe KHuda samajh kar na gunahgar hota
agar ek be-niyazi hi tera ashaar hota

jo sitam-zadon ka ya-rab koi gham-gusar hota
to gham-e-hayat itna na dilon pe bar hota

meri zindagi mein shamil jo na tera pyar hota
to nashat-e-do-jahan bhi mujhe nagawar hota

yahi mahr o mah o anjum ko gila hai mujh se ya-rab
ki unhen bhi chain milta jo mujhe qarar hota

na sukun-e-dil ki chahat mein taDap 'adib' itna
kisi aur ko tu milta jo kahin qarar hota