اردو हिंदी
Mere safar mein hi kyun ye azab aate hain | Shaahi Shayari
mere safar mein hi kyun ye azab aate hain

Ghazal

Mere safar mein hi kyun ye azab aate hain

Balwan Singh Azar

;

mere safar mein hi kyun ye azab aate hain
jidhar bhi jaun udhar hi sarab aate hain

talash hai mujhe ab to unhin fazaon ki
jahan KHizan mein bhi akasr gulab aate hain

kisi ko milta nahin ek charagh milon tak
kisi ki basti mein sau aaftab aate hain

na nikla kijiye raaton ko ghar se aap kabhi
saDak pe raat mein KHana-KHarab aate hain

khula makan hai har ek zindagi 'azar'
hawa ke sath darichon se KHwab aate hain