mere safar ki haden KHatm ab kahan hongi
ki manzilen bhi to aaKHir rawan dawan hongi
ye fasle jo abhi tai hue hain kahte hain
ye qurbaten tere ehsas par giran hongi
jo din ko rang lagen aur shab ko phul banen
wo suraten kahin hongi magar kahan hongi
wo hath ruTh gae aur wo sath chhuT gae
kise KHabar thi ki itni judaiyan hongi
suna to tha magar is ramz ko samajhte na the
ki teri KHush-nigahi mein bhi talKHiyan hongi
talash thi gohr-e-dard ki na jaante the
ki bahr-e-dil mein wo gahraiyan kahan hongi
wo aaj anjuman-e-am ban ke jagen hain
wo KHalwaten jo kabhi teri raaz-dan hongi
hamare dam se hai raushan dayar-e-fikr-o-suKHan
hamare baad ye galiyan dhuan dhuan hongi
ye ahd wo hai ki meri wafa ke qisson mein
teri jafa ki hikayat bhi bayan hongi
chale chalo ki dayar-e-KHirad ke us jaanib
sukun ki chhanw mein KHwabon ki bastiyan hongi
tu rah-e-shauq mein tanha nahin Thahar 'baqar'
ki tere sath abhi jag-hansaiyan hongi
Ghazal
Mere safar ki haden KHatm ab kahan hongi
Sajjad Baqar Rizvi