mere rog ka na malal kar mere chaara-gar
main baDa hua use pal kar mere chaara-gar
sabhi dard chun mere jism se kisi ism se
mera ang ang bahaal kar mere chaara-gar
mujhe si de sozan-e-dard rishta-e-zard se
mujhe zabt-e-gham se bahaal kar mere chaara-gar
mujhe chir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se
mera indimal-e-muhaal kar mere chaara-gar
ye badan ke aarzi ghaw hain unhen chhoD de
mere zaKHm-e-dil ka KHayal kar mere chaara-gar
faqat ek qatra-e-ashk mera ilaj hai
mujhe mubtala-e-malal kar mere chaara-gar
mein jahan dard mein kho gaya tujhe kya mila
mujhe imtihan mein Dal kar mere chaara-gar
mujhe apne zaKHm ki KHud bhi koi KHabar nahin
so na mujh se koi sawal kar mere chaara-gar
tera haal dekh ke roega tera chaara-gar
mera dil na dekh nikal kar mere chaara-gar

Ghazal
Mere rog ka na malal kar mere chaara-gar
Shahzad Nayar