اردو हिंदी
Mere naseh mujhe samjha rahe hain | Shaahi Shayari
mere naseh mujhe samjha rahe hain

Ghazal

Mere naseh mujhe samjha rahe hain

Aziz Lakhnavi

;

mere naseh mujhe samjha rahe hain
fariza hai ada farma rahe hain

dhuan uThta hai ek ek mu-e-tan se
saza apne kiye ki pa hai hain

tilism-e-hasti-e-fani dikha kar
abhi kuchh der wo bhula rahe hain

jahan se kal hamein aana paDa tha
wahin majbur ho kar ja rahe hain

dikha denge 'aziz' anjam-e-duniya
abhi to KHair dhoka kha rahe hain