mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai
main pata laga chuka hun tu kahan kahan chhupa hai
mujhe kaun sar-bulandi ki taraf bula raha hai
mera nargisi taKHayyul to shikast kha chuka hai
tujhe qatilon ke narghe se chhuDaega na koi
ye hai maqtal ai musafir tu kise pukarta hai
sar-e-sham jo gharibon ke diye bujha rahi hain
unhin sazishon ka markaz ye teri mahal-sara hai
koi mausami parindon se kahe idhar na aaen
abhi mere gulistan ki baDi muzmahil faza hai
sun ai meri pyari duniya meri be-qarar duniya
tera dard-mand shair tere git ga raha hai
wo ba-zoam-e-KHud gulistan ka hai sarbarah 'dauran'
jo wo chahe so karega use kaun rokta hai
Ghazal
Mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai
Owais Ahmad Dauran